baras gaya jo badan par jamal tha us ka
baras gayā jo badan par jamāl thā us kā
utar gayā jo samundar ḳhayāl thā us kā
bikhar ga.ī jo zamīñ par bahār thī us kī
phir us ke ba.ad simaTnā muhāl thā us kā
kidhar ga.ī shab-e-dil kī niDhāl sī bastī
kahāñ gayā ġham-e-rafta savāl thā us kā
milā to shaam ke saa.e meñ ek pal vo bhī
bas ek hijr kī sūrat visāl thā us kā
vo ek phuul ki rahtī thī apnī ḳhushbū meñ
vo ek bhuul ki us ko malāl thā us kā
baras gaya jo badan par jamal tha us ka
utar gaya jo samundar KHayal tha us ka
bikhar gai jo zamin par bahaar thi us ki
phir us ke baad simaTna muhaal tha us ka
kidhar gai shab-e-dil ki niDhaal si basti
kahan gaya gham-e-rafta sawal tha us ka
mila to sham ke sae mein ek pal wo bhi
bas ek hijr ki surat visal tha us ka
wo ek phul ki rahti thi apni KHushbu mein
wo ek bhul ki us ko malal tha us ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.