baras raha hai faza se chaman mein KHauf-o-hiras
baras rahā hai fazā se chaman meñ ḳhauf-o-hirās
kalī kalī hai fasurda to phuul phuul udaas
na hausla na tamanna na shiddat-e-ehsās
batāo ahl-e-chaman kyā rahā tumhāre paas
bas ik nigāh-e-navāzish ye aisā shaad hai dil
ki jaise zarre ko mil jaa.e qismat-e-almās
azal meñ sab ko milā kuchh na kuchh ba-qadr-e-zarf
mirā nasīb milī mujh ko shiddat-e-ehsās
mire laboñ ke tabassum ko dekhne vaalo
jo ho sake to paḌho dil kā saf.ha-e-qirtās
is aa.ine meñ nazar aa.egā nizām-e-jahāñ
mirā kalām hai māhaul-o-vaqt kā ‘akkās
ḳhafā hue haiñ vo us baat par na jaane kyoñ
'razī' vo baat na thī jo qarīn-e-vahm-o-qayās
baras raha hai faza se chaman mein KHauf-o-hiras
kali kali hai fasurda to phul phul udas
na hausla na tamanna na shiddat-e-ehsas
batao ahl-e-chaman kya raha tumhaare pas
bas ek nigah-e-nawazish ye aisa shad hai dil
ki jaise zarre ko mil jae qismat-e-almas
azal mein sab ko mila kuchh na kuchh ba-qadr-e-zarf
mera nasib mili mujh ko shiddat-e-ehsas
mere labon ke tabassum ko dekhne walo
jo ho sake to paDho dil ka safha-e-qirtas
is aaine mein nazar aaega nizam-e-jahan
mera kalam hai mahaul-o-waqt ka ‘akkas
KHafa hue hain wo us baat par na jaane kyon
'razi' wo baat na thi jo qarin-e-wahm-o-qayas
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.