barbaad-e-mohabbat ka bas itna fasana hai
barbād-e-mohabbat kā bas itnā fasāna hai
rone ko nahīñ koī hañsne ko zamāna hai
kuchh kam na thā un kā ġham is par ġham-e-hastī bhī
mar-mar ke sahī lekin ye bojh uThānā hai
kal mujh ko thā ġham un kā ab un ko hai ġham merā
ik vo bhī zamāna thā ik ye bhī zamāna hai
yaktā.ī-o-kasrat meñ hai farq to bas itnā
simTe to mirā dil hai phaile to zamāna hai
allāh ajab shai hai ye jazb-e-mohabbat bhī
dekheñ vo kisī jānib dil merā nishāna hai
chhāyā huā har shai par aalam hai javānī kā
joban pe hai fasl-e-gul miTne kā zamāna hai
is dukh-bharī duniyā kī auqāt bas itnī hai
dekho to haqīqat hai samjho to fasāna hai
vo daur havas kā thā ye daur-e-mohabbat hai
jab ġham ko bhulāte the ab ḳhud ko bhulānā hai
baaqī na kahīñ dil meñ rah jaa.e koī armāñ
thoḌā sā bhaTak bhī leñ manzil pe to aanā hai
the 'ġhālib' o 'momin' bhī yaktā-e-jahāñ lekin
vo un kā zamāna thā ye merā zamāna hai
dam lene bhī de 'sāhir' zālim ye ġham-e-daurāñ
barbādī-e-ulfat par do ashk bahānā hai
barbaad-e-mohabbat ka bas itna fasana hai
rone ko nahin koi hansne ko zamana hai
kuchh kam na tha un ka gham is par gham-e-hasti bhi
mar-mar ke sahi lekin ye bojh uThana hai
kal mujh ko tha gham un ka ab un ko hai gham mera
ek wo bhi zamana tha ek ye bhi zamana hai
yaktai-o-kasrat mein hai farq to bas itna
simTe to mera dil hai phaile to zamana hai
allah ajab shai hai ye jazb-e-mohabbat bhi
dekhen wo kisi jaanib dil mera nishana hai
chhaya hua har shai par aalam hai jawani ka
joban pe hai fasl-e-gul miTne ka zamana hai
is dukh-bhari duniya ki auqat bas itni hai
dekho to haqiqat hai samjho to fasana hai
wo daur hawas ka tha ye daur-e-mohabbat hai
jab gham ko bhulate the ab KHud ko bhulana hai
baqi na kahin dil mein rah jae koi arman
thoDa sa bhaTak bhi len manzil pe to aana hai
the 'ghaalib' o 'momin' bhi yakta-e-jahan lekin
wo un ka zamana tha ye mera zamana hai
dam lene bhi de 'sahir' zalim ye gham-e-dauran
barbaadi-e-ulfat par do ashk bahana hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.