barbaad ho gae hain bahut tere pyar mein
barbād ho ga.e haiñ bahut tere pyaar meñ
afsurda aaj baiThe haiñ ġham ke hisār meñ
letī huuñ roz lutf-e-aziyyat bahār meñ
uñglī chubhotī rahtī huuñ maiñ nok-e-ḳhār meñ
kab lauT kar tū aa.egā ai mere ham-nashīñ
sadiyāñ guzar ga.iiñ haiñ tire intizār meñ
bikhrā huā hai chaar sū yādoñ kā ik hujūm
halchal machī huī hai dil-e-be-qarār meñ
tanhā.iyoñ ke dasht meñ jiinā muhāl hai
lamhe pahāḌ hone lage hijr-e-yār meñ
dar dar kī ḳhaak chhān rahī huuñ tire liye
sūrat bigaḌ ga.ī mirī gard-o-ġhubār meñ
fursat kahāñ ki DhūñDhne jā.ūñ masarrateñ
'zīnat' ulajh ga.ī huuñ ġham-e-be-shumār meñ
barbaad ho gae hain bahut tere pyar mein
afsurda aaj baiThe hain gham ke hisar mein
leti hun roz lutf-e-aziyyat bahaar mein
ungli chubhoti rahti hun main nok-e-KHar mein
kab lauT kar tu aaega ai mere ham-nashin
sadiyan guzar gain hain tere intizar mein
bikhra hua hai chaar su yaadon ka ek hujum
halchal machi hui hai dil-e-be-qarar mein
tanhaiyon ke dasht mein jina muhaal hai
lamhe pahaD hone lage hijr-e-yar mein
dar dar ki KHak chhan rahi hun tere liye
surat bigaD gai meri gard-o-ghubar mein
fursat kahan ki DhunDhne jaun masarraten
'zinat' ulajh gai hun gham-e-be-shumar mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.