barbaadi-e-sarmaya-e-jaan dekh raha hun
barbādī-e-sarmāya-e-jāñ dekh rahā huuñ
ulfat kī navāzish kā samāñ dekh rahā huuñ
kis shoḳh ke shānoñ pe haiñ bikhre hue gesū
barham jo nizām-e-do-jahāñ dekh rahā huuñ
dekhā na jise hazrat-e-mūsā ne sar-e-tūr
maiñ us ko qarīb-e-rag-e-jāñ dekh rahā huuñ
betāb jo hai apnī jabīñ sajdoñ kī ḳhātir
jhuk kar tire qadmoñ ke nishāñ dekh rahā huuñ
allāh re jazb-o-kashish-e-ishrat-e-hastī
hasrat se sū-e-umr-e-ravāñ dekh rahā huuñ
barbaadi-e-sarmaya-e-jaan dekh raha hun
ulfat ki nawazish ka saman dekh raha hun
kis shoKH ke shanon pe hain bikhre hue gesu
barham jo nizam-e-do-jahan dekh raha hun
dekha na jise hazrat-e-musa ne sar-e-tur
main us ko qarib-e-rag-e-jaan dekh raha hun
betab jo hai apni jabin sajdon ki KHatir
jhuk kar tere qadmon ke nishan dekh raha hun
allah re jazb-o-kashish-e-ishrat-e-hasti
hasrat se su-e-umr-e-rawan dekh raha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.