barbaadiyon ka apni gila kya karenge hum
barbaadiyon ka apni gila kya karenge hum
Sayyad Ejaz Ahmad Rizwi
MORE BYSayyad Ejaz Ahmad Rizwi
barbādiyoñ kā apnī gila kyā kareñge ham
aa.egī un kī yaad to royā kareñge ham
ham zindagī se apnī bichhaḌ kar bhī jī rahe
kyā ḳhaak ab qazā kī tamannā kareñge ham
sab kuchh unheñ diyā jo hameñ kuchh na de sake
ai hāsil-e-ḳhulūs batā kyā kareñge ham
thī jin se kuchh umīd-e-vafā vo badal ga.e
hargiz na ab kisī kī tamannā kareñge ham
yaad aa rahī hai aaj bahut un kī nāsehā
ab ibtidā-e-sāġhar-o-mīnā kareñge ham
barbaadiyon ka apni gila kya karenge hum
aaegi un ki yaad to roya karenge hum
hum zindagi se apni bichhaD kar bhi ji rahe
kya KHak ab qaza ki tamanna karenge hum
sab kuchh unhen diya jo hamein kuchh na de sake
ai hasil-e-KHulus bata kya karenge hum
thi jin se kuchh umid-e-wafa wo badal gae
hargiz na ab kisi ki tamanna karenge hum
yaad aa rahi hai aaj bahut un ki naseha
ab ibtida-e-saghar-o-mina karenge hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.