barbaadiyon se shad hun unki KHushi bhi hai
barbādiyoñ se shaad huuñ un kī ḳhushī bhī hai
vaj.h-e-bahār-e-ġham mirī dīvāngī bhī hai
paiham taḌap se dard meñ kuchh tāzgī bhī hai
takmīl-e-iztirāb mirī zindagī bhī hai
zikr-e-sharāb-o-jām kiyā aur bahak gayā
vaa.iz mujhe batā ki kabhī tū ne pī bhī hai
tanhā mirā junūñ hī nahīñ bā.is-e-alam
banda-navāz kuchh to nazar aap kī bhī hai
rūh-e-umīd kaif-e-tajallī ḳhayāl-e-ġham
dil ke siyāh-ḳhāne meñ kuchh raushnī bhī hai
jis āstāñ pe rif.at-e-kaun-o-makāñ nisār
us āstāñ pe naqsh mirī bandagī bhī hai
maiñ kyā batā.ūñ kaif-e-mohabbat kī lazzateñ
kuchh hosh hai agar to mujhe be-ḳhudī bhī hai
'shāhid' nigāh-e-nāz kā tanhā qusūr kyā
taḌpāne vaalī tujh ko tirī shā.irī bhī hai
barbaadiyon se shad hun un ki KHushi bhi hai
wajh-e-bahaar-e-gham meri diwangi bhi hai
paiham taDap se dard mein kuchh tazgi bhi hai
takmil-e-iztirab meri zindagi bhi hai
zikr-e-sharab-o-jam kiya aur bahak gaya
waiz mujhe bata ki kabhi tu ne pi bhi hai
tanha mera junun hi nahin bais-e-alam
banda-nawaz kuchh to nazar aap ki bhi hai
ruh-e-umid kaif-e-tajalli KHayal-e-gham
dil ke siyah-KHane mein kuchh raushni bhi hai
jis aastan pe rifat-e-kaun-o-makan nisar
us aastan pe naqsh meri bandagi bhi hai
main kya bataun kaif-e-mohabbat ki lazzaten
kuchh hosh hai agar to mujhe be-KHudi bhi hai
'shahid' nigah-e-naz ka tanha qusur kya
taDpane wali tujh ko teri shairi bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.