bardasht kyon karega zara si bhi der dil
bardāsht kyoñ karegā zarā sī bhī der dil
pherī nazar to ro.egā muñh pher pher dil
mahsūs ye huā hai tirī aañkh ke tufail
ā.īna hai charāġh hai miTTī kā Dher dil
shāyad tirī taraf se ho āġhāz-e-dil-barī
kam-baḳht is liye bhī to kartā hai der dil
zikr-e-vafā jo aa.e to har baat par tirā
kartā hai mere dil se bahut her-pher dil
ham se mileñ to dil ko sañhālā kareñ janāb
ham log bāt-chīt se karte haiñ zer dil
dil-dāriyoñ ke daam meñ bilkul na aa.egī
hai sāmne janāb ke sach-much meñ sher-dil
bardasht kyon karega zara si bhi der dil
pheri nazar to roega munh pher pher dil
mahsus ye hua hai teri aankh ke tufail
aaina hai charagh hai miTTi ka Dher dil
shayad teri taraf se ho aaghaz-e-dil-bari
kam-baKHt is liye bhi to karta hai der dil
zikr-e-wafa jo aae to har baat par tera
karta hai mere dil se bahut her-pher dil
hum se milen to dil ko sanhaala karen janab
hum log baat-chit se karte hain zer dil
dil-dariyon ke dam mein bilkul na aaegi
hai samne janab ke sach-much mein sher-dil
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.