barf hoti hui hiddat ko nahin jaante ho
barf hotī huī hiddat ko nahīñ jānte ho
tum pighalne kī aziyyat ko nahīñ jānte ho
dekhiye aam adāvat meñ to gunjā.ish hai
tum magar josh-e-raqābat ko nahīñ jānte ho
be-gunāhī ke liye aag pe chalnā hogā
tum qabīle kī rivāyat ko nahīñ jānte ho
ab palaTne kā natīja hai kisī ek kī maut
tum mire pyaar kī shiddat ko nahīñ jānte ho
aañkh se dekhā sunā kaan se zāhir hai magar
tum pas-e-parda haqīqat ko nahīñ jānte ho
mere lahje meñ jo Thahrāv nahīñ aayā 'roz'
kyā mirī talḳhī-e-hijrat ko nahīñ jānte ho
barf hoti hui hiddat ko nahin jaante ho
tum pighalne ki aziyyat ko nahin jaante ho
dekhiye aam adawat mein to gunjaish hai
tum magar josh-e-raqabat ko nahin jaante ho
be-gunahi ke liye aag pe chalna hoga
tum qabile ki riwayat ko nahin jaante ho
ab palaTne ka natija hai kisi ek ki maut
tum mere pyar ki shiddat ko nahin jaante ho
aankh se dekha suna kan se zahir hai magar
tum pas-e-parda haqiqat ko nahin jaante ho
mere lahje mein jo Thahraw nahin aaya 'roz'
kya meri talKHi-e-hijrat ko nahin jaante ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.