barf lahjon ki pighal jae to kuchh baat karen
barf lahjoñ kī pighal jaa.e to kuchh baat kareñ
jaltī rassī se ye bal jaa.e to kuchh baat kareñ
vaqt-e-ruḳhsat ye sunā maiñ ne unhī yāroñ se
ye zarā duur nikal jaa.e to kuchh baat kareñ
achchhe mausam tirī yādeñ na.ī mausīqī se
dil kisī taur bahal jaa.e to kuchh baat kareñ
āḳhirī baar jo milne ko ga.e ham to kahā
ye zarā chaa.e ubal jaa.e to kuchh baat kareñ
tū nahīñ hai na tirī yaad kī gahrā.ī hai
dil haqīqat ye nigal jaa.e to kuchh baat kareñ
har kisī kā hai taqāza yahī ik duuje se
ye mirī soch meñ Dhal jaa.e to kuchh baat kareñ
vaqt tujh se jo mayassar ho to yāroñ se mileñ
ik ta'alluq ye sañbhal jaa.e to kuchh baat kareñ
shab meñ nazzāra-e-‘māham’ se abhī dil merā
hiddat-e-shauq se jal jaa.e to kuchh baat kareñ
barf lahjon ki pighal jae to kuchh baat karen
jalti rassi se ye bal jae to kuchh baat karen
waqt-e-ruKHsat ye suna main ne unhi yaron se
ye zara dur nikal jae to kuchh baat karen
achchhe mausam teri yaaden nai mausiqi se
dil kisi taur bahal jae to kuchh baat karen
aaKHiri bar jo milne ko gae hum to kaha
ye zara chae ubal jae to kuchh baat karen
tu nahin hai na teri yaad ki gahrai hai
dil haqiqat ye nigal jae to kuchh baat karen
har kisi ka hai taqaza yahi ek duje se
ye meri soch mein Dhal jae to kuchh baat karen
waqt tujh se jo mayassar ho to yaron se milen
ek ta'alluq ye sanbhal jae to kuchh baat karen
shab mein nazzara-e-‘maham’ se abhi dil mera
hiddat-e-shauq se jal jae to kuchh baat karen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.