barf shoala hai aag pani hai
barf sho.ala hai aag paanī hai
ye siyāsat kī mehrbānī hai
nafratoñ se kaho nikal jaa.eñ
dil mohabbat kī rājdhānī hai
us pe bhī hai nazar zamāne kī
mere purkhoñ kī jo nishānī hai
duur rahne lagī thakan mujh se
jab se sahrā kī baat maanī hai
vo bhī hamrāh haiñ mere 'ashraf'
aur mausam bhī zāfrānī hai
barf shoala hai aag pani hai
ye siyasat ki mehrbani hai
nafraton se kaho nikal jaen
dil mohabbat ki rajdhani hai
us pe bhi hai nazar zamane ki
mere purkhon ki jo nishani hai
dur rahne lagi thakan mujh se
jab se sahra ki baat mani hai
wo bhi hamrah hain mere 'ashraf'
aur mausam bhi zafrani hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.