barg aur tarah ke hain samar aur tarah ke
barg aur tarah ke haiñ samar aur tarah ke
is baar haiñ gulshan ke shajar aur tarah ke
har chand vahī kūza-garī hai sar-e-bāzār
darkār haiñ ab dast-e-hunar aur tarah ke
āsān nahīñ ab bhī tirā jāda-e-dushvār
darpesh haiñ ab ham ko safar aur tarah ke
vo log jo chalte haiñ rah-e-ām se mutazād
milte haiñ unheñ rāhguzar aur tarah ke
uftād meñ yaksāñ nahīñ pātāl kisī kī
haiñ sab ke liye us ke bhañvar aur tarah ke
āġhāz meñ kuchh aur thī anjām kī ummīd
āsār haiñ ab pesh-e-nazar aur tarah ke
taqvīm-e-tahayyur meñ 'kafīl' aa to ga.e ham
gardish meñ haiñ ab shām-o-sahar aur tarah ke
barg aur tarah ke hain samar aur tarah ke
is bar hain gulshan ke shajar aur tarah ke
har chand wahi kuza-gari hai sar-e-bazar
darkar hain ab dast-e-hunar aur tarah ke
aasan nahin ab bhi tera jada-e-dushwar
darpesh hain ab hum ko safar aur tarah ke
wo log jo chalte hain rah-e-am se mutazad
milte hain unhen rahguzar aur tarah ke
uftad mein yaksan nahin patal kisi ki
hain sab ke liye us ke bhanwar aur tarah ke
aaghaz mein kuchh aur thi anjam ki ummid
aasar hain ab pesh-e-nazar aur tarah ke
taqwim-e-tahayyur mein 'kafil' aa to gae hum
gardish mein hain ab sham-o-sahar aur tarah ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.