barg-e-gul shaKH-e-hijr ka kar de
barg-e-gul shāḳh-e-hijr kā kar de
ai ḳhudā ab mujhe harā kar de
har palak ho nam-āshnā mujh se
merā lahja bahār sā kar de
mujh ko raushan mire bayān meñ kar
ḳhāmushī ko bhī aa.inā kar de
baiTh jā.ūñ na thak ke misl-e-ġhubār
dasht meñ sūrat-e-sabā kar de
merī takmīl harf-o-saut meñ ho
mujhe pāband-e-iltijā kar de
kaun dastak pe kaan dhartā hai
tū mire haath dil-kushā kar de
ai jamāl-e-dayār-e-kashf-o-kamāl
mauja-e-rañg ko navā kar de
barg-e-gul shaKH-e-hijr ka kar de
ai KHuda ab mujhe hara kar de
har palak ho nam-ashna mujh se
mera lahja bahaar sa kar de
mujh ko raushan mere bayan mein kar
KHamushi ko bhi aaina kar de
baiTh jaun na thak ke misl-e-ghubar
dasht mein surat-e-saba kar de
meri takmil harf-o-saut mein ho
mujhe paband-e-iltija kar de
kaun dastak pe kan dharta hai
tu mere hath dil-kusha kar de
ai jamal-e-dayar-e-kashf-o-kamal
mauja-e-rang ko nawa kar de
- Book : Funoon (Monthly) (Pg. 228)
- Author : Ahmad Nadeem Qasmi
- Publication : 4 Maklood Road, Lahore (25Edition Nov. Dec. 1986)
- Edition : 25Edition Nov. Dec. 1986
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.