brahman but-kade ke shaiKH baitullah ke sadqe
brahman but-kade ke shaiKH baitullah ke sadqe
Mohammad Rafi Sauda
MORE BYMohammad Rafi Sauda
brahman but-kade ke shaiḳh baitullāh ke sadqe
kaheñ haiñ jis ko 'saudā' vo dil-e-āgāh ke sadqe
jatā deñ jis jagah ham qadr apnī nā-tavānī kī
agar kohsār vaañ hove to jaave kaah ke sadqe
na de taklīf jalne kī kisū ke dil ko mere par
asar se duur rahtī haiñ maiñ apnī aah ke sadqe
'ajā.ib shaġhl meñ the raat tum ai shaiḳh rahmat hai
maiñ us rīsh-e-buland aur dāman-e-kotāh ke sadqe
nahīñ be-vaj.h kūche se tire uThnā bagūle kā
hamārī ḳhaak bhī jaatī hai terī raah ke sadqe
kabhū vo shab bhī ai parvāna haq bāham dikhāvegā
tū bal bal sham' par jaave maiñ huuñ us maah ke sadqe
dikhātī hai tujhe kis kis tarah 'saudā' kī nazroñ meñ
jo ho insāf to jaave tū us kī chaah ke sadqe
brahman but-kade ke shaiKH baitullah ke sadqe
kahen hain jis ko 'sauda' wo dil-e-agah ke sadqe
jata den jis jagah hum qadr apni na-tawani ki
agar kohsar wan howe to jawe kah ke sadqe
na de taklif jalne ki kisu ke dil ko mere par
asar se dur rahti hain main apni aah ke sadqe
'ajaib shaghl mein the raat tum ai shaiKH rahmat hai
main us rish-e-buland aur daman-e-kotah ke sadqe
nahin be-wajh kuche se tere uThna bagule ka
hamari KHak bhi jati hai teri rah ke sadqe
kabhu wo shab bhi ai parwana haq baham dikhawega
tu bal bal sham' par jawe main hun us mah ke sadqe
dikhati hai tujhe kis kis tarah 'sauda' ki nazron mein
jo ho insaf to jawe tu us ki chah ke sadqe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.