barmala wo bhi agar hum ko dagha deta hai
barmalā vo bhī agar ham ko daġhā detā hai
dil-e-betāb use muñh pe sunā detā hai
vo sitam-kesh jab āzār nayā detā hai
ham samajhte haiñ ki ulfat kā sila detā hai
ishq kī aag to hai yuuñ bhī fanā kā paiġhām
dil-e-nā-fahm abas is ko havā detā hai
aazmā letā huuñ ahbāb ko gāhe-gāhe
varna dene ko to har chiiz ḳhudā detā hai
aur kuchh bhī ho magar is se to inkār nahīñ
ishq insān ko insān banā detā hai
maiñ jo piitā huuñ bilā-nāġha sharāb ai vaa.iz
kyuuñ tujhe chiḌ hai agar mujh ko ḳhudā detā hai
rahbarī vo hai ki āsūda-e-manzil ho koī
varna rasta to har ik shaḳhs batā detā hai
ab na kyuuñ naaz karūñ apnī vafā-keshī par
ab to ḳhud dost mujhe dād-e-vafā detā hai
sāqī-e-bazm kā ye ḳhaas karam hai 'sāhir'
dekhte hī mujhe nazroñ se pilā detā hai
barmala wo bhi agar hum ko dagha deta hai
dil-e-betab use munh pe suna deta hai
wo sitam-kesh jab aazar naya deta hai
hum samajhte hain ki ulfat ka sila deta hai
ishq ki aag to hai yun bhi fana ka paigham
dil-e-na-fahm abas is ko hawa deta hai
aazma leta hun ahbab ko gahe-gahe
warna dene ko to har chiz KHuda deta hai
aur kuchh bhi ho magar is se to inkar nahin
ishq insan ko insan bana deta hai
main jo pita hun bila-nagha sharab ai waiz
kyun tujhe chiD hai agar mujh ko KHuda deta hai
rahbari wo hai ki aasuda-e-manzil ho koi
warna rasta to har ek shaKHs bata deta hai
ab na kyun naz karun apni wafa-keshi par
ab to KHud dost mujhe dad-e-wafa deta hai
saqi-e-bazm ka ye KHas karam hai 'sahir'
dekhte hi mujhe nazron se pila deta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.