barq milti hai na tinkon ko sharar milta hai
barq miltī hai na tinkoñ ko sharar miltā hai
dil ko barsāt meñ be-barg shajar miltā hai
us kī garmī-e-suḳhan raas na aa.ī us ko
ab vo miltā hai to kyā ḳhāk-basar miltā hai
sirf jiine kī havas saath rahe to shāyad
umr ke saath har ik gaam pe dar miltā hai
chaar dīvārī se shāyad nahīñ kuchh us ko mafar
ghar ke bāhar vo ba-andāz-e-digar miltā hai
maiñ use bhuul ke zinda rahūñ mumkin hai magar
mujh ko har moḌ pe us shaḳhs kā ghar miltā hai
jis ke kaase meñ anā hai koī taḳhlīq nahīñ
us ko har lafz meñ ik kāsa-e-sar miltā hai
dard ke saath juḌā hotā hai taḳhlīq kā karb
kuchh sivā mujh ko ba-hañgām-e-hunar miltā hai
ab shahādat sar-e-mimbar hī sahī aam huī
ab duāoñ ko kahāñ bāb-e-asar miltā hai
kal jahāñ laash paḌī thī koī iqbāl 'matīn'
aaj bhī kaun vahāñ ḳhuun meñ tar miltā hai
barq milti hai na tinkon ko sharar milta hai
dil ko barsat mein be-barg shajar milta hai
us ki garmi-e-suKHan ras na aai us ko
ab wo milta hai to kya KHak-basar milta hai
sirf jine ki hawas sath rahe to shayad
umr ke sath har ek gam pe dar milta hai
chaar diwari se shayad nahin kuchh us ko mafar
ghar ke bahar wo ba-andaz-e-digar milta hai
main use bhul ke zinda rahun mumkin hai magar
mujh ko har moD pe us shaKHs ka ghar milta hai
jis ke kase mein ana hai koi taKHliq nahin
us ko har lafz mein ek kasa-e-sar milta hai
dard ke sath juDa hota hai taKHliq ka karb
kuchh siwa mujh ko ba-hangam-e-hunar milta hai
ab shahadat sar-e-mimbar hi sahi aam hui
ab duaon ko kahan bab-e-asar milta hai
kal jahan lash paDi thi koi iqbaal 'matin'
aaj bhi kaun wahan KHun mein tar milta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.