barq-raftar wo yun jaan-e-jahan milte hain
barq-raftār vo yuuñ jān-e-jahāñ milte haiñ
ham jahāñ hote haiñ vo ham ko vahāñ milte haiñ
ġham ke maare to milā karte haiñ ham ko aksar
aaj ke daur meñ ġham-ḳhvār kahāñ milte haiñ
jo ki hote haiñ bahut mehr-o-mohabbat vaale
aise ahbāb zamāne meñ kahāñ milte haiñ
ḳhuun dil kā jo kiyā karte haiñ ānan-fānan
tez nashtar bhī vo qurb-e-rag-e-jāñ milte haiñ
qalb se hotī nahīñ jin kī zabāñ ko nisbat
aise jul-bāz bahut ham ko yahāñ milte haiñ
jo nahīñ jānte ā.īn-e-mohabbat kyā hai
ishq farmāte hue aise javāñ milte haiñ
jin ko aatā hai hunar hosh uḌā dene kā
ham ko aise bhī hasīnān-e-jahāñ milte haiñ
bhed fitrat ke sabhī ho nahīñ sakte zāhir
kuchh ayaañ hone pe bhī ham ko nihāñ milte haiñ
husn-o-ḳhūbī se jo chalte haiñ razā-e-haq par
haiñ vahī log jinheñ donoñ jahāñ milte haiñ
is tarah ke bhī hameñ milte haiñ ahbāb 'azīz'
ham se katrāte bahut haiñ vo jahāñ milte haiñ
barq-raftar wo yun jaan-e-jahan milte hain
hum jahan hote hain wo hum ko wahan milte hain
gham ke mare to mila karte hain hum ko aksar
aaj ke daur mein gham-KHwar kahan milte hain
jo ki hote hain bahut mehr-o-mohabbat wale
aise ahbab zamane mein kahan milte hain
KHun dil ka jo kiya karte hain aanan-fanan
tez nashtar bhi wo qurb-e-rag-e-jaan milte hain
qalb se hoti nahin jin ki zaban ko nisbat
aise jul-baz bahut hum ko yahan milte hain
jo nahin jaante aain-e-mohabbat kya hai
ishq farmate hue aise jawan milte hain
jin ko aata hai hunar hosh uDa dene ka
hum ko aise bhi hasinan-e-jahan milte hain
bhed fitrat ke sabhi ho nahin sakte zahir
kuchh ayan hone pe bhi hum ko nihan milte hain
husn-o-KHubi se jo chalte hain raza-e-haq par
hain wahi log jinhen donon jahan milte hain
is tarah ke bhi hamein milte hain ahbab 'aziz'
hum se katraate bahut hain wo jahan milte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.