barq-raftar zamana hai thaka dega tumhein
barq-raftār zamāna hai thakā degā tumheñ
ik zarā dam bhī jo loge to girā degā tumheñ
kashtī-e-nūh koī DhūñDo hifāzat ke liye
nīstī kā ye jo tūfāñ hai Dubā degā tumheñ
tum ne kyoñ gulshan-e-fitrat ko hai pāmāl kiyā
bāġhbāñ gulshan-e-fitrat kā sazā degā tumheñ
tum ko ḳhud laḌnā hai is daur ke fir.aunoñ se
haath meñ koī na muusā kā asā degā tumheñ
kārvāñ be-sar-o-sāmāñ hai to rahbar nādāñ
kaun khoī huī manzil kā pata degā tumheñ
barq-raftar zamana hai thaka dega tumhein
ek zara dam bhi jo loge to gira dega tumhein
kashti-e-nuh koi DhunDo hifazat ke liye
nisti ka ye jo tufan hai Duba dega tumhein
tum ne kyon gulshan-e-fitrat ko hai pamal kiya
baghban gulshan-e-fitrat ka saza dega tumhein
tum ko KHud laDna hai is daur ke firaunon se
hath mein koi na musa ka asa dega tumhein
karwan be-sar-o-saman hai to rahbar nadan
kaun khoi hui manzil ka pata dega tumhein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.