barq se aashiyan ka rishta hai
barq se āshiyāñ kā rishta hai
arsh se ḳhāk-dāñ kā rishta hai
mere afsāna-e-mohabbat se
aap kī dāstāñ kā rishta hai
āj-kal ham junūñ-pasandoñ se
har na.e imtihāñ kā rishta hai
ahl-e-gulshan kī ḳhasta-hālī se
sāzish-e-bāġhbāñ kā rishta hai
aap muḳhtār aur ham majbūr
sochiye to kahāñ kā rishta hai
shaiḳh sāhab kā hūr-o-ġhilmāñ se
sirf vahm-o-gumāñ kā rishta hai
un kā 'aḳhtar' se yuuñ ta.alluq hai
jis tarah jism-o-jāñ kā rishta hai
barq se aashiyan ka rishta hai
arsh se KHak-dan ka rishta hai
mere afsana-e-mohabbat se
aap ki dastan ka rishta hai
aaj-kal hum junun-pasandon se
har nae imtihan ka rishta hai
ahl-e-gulshan ki KHasta-haali se
sazish-e-baghban ka rishta hai
aap muKHtar aur hum majbur
sochiye to kahan ka rishta hai
shaiKH sahab ka hur-o-ghilman se
sirf wahm-o-guman ka rishta hai
un ka 'aKHtar' se yun talluq hai
jis tarah jism-o-jaan ka rishta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.