barsae jitne phul qafas par bahaar ne
barsā.e jitne phuul qafas par bahār ne
sab chun liye vo mere dil-e-be-qarār ne
dam toḌne se pahle judā.ī na kī pasand
kitnā diyā hai saath shab-e-intizār ne
ubhre haiñ dil kī daaġh bhī mausam ke saath saath
chamkā diyā bahār ko aa kar bahār ne
ik daaġh tak kafan pe na niklā ba-roz-e-hashr
rakhā samajh ke terī amānat mazār ne
ai 'abr' merā toḌ diyā rishta-e-hayāt
ho kar shikast va.ada-e-be-e'tibār ne
barsae jitne phul qafas par bahaar ne
sab chun liye wo mere dil-e-be-qarar ne
dam toDne se pahle judai na ki pasand
kitna diya hai sath shab-e-intizar ne
ubhre hain dil ki dagh bhi mausam ke sath sath
chamka diya bahaar ko aa kar bahaar ne
ek dagh tak kafan pe na nikla ba-roz-e-hashr
rakha samajh ke teri amanat mazar ne
ai 'abr' mera toD diya rishta-e-hayat
ho kar shikast wada-e-be-e'tibar ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.