barsat muflison ki sada se raqib hai
barsāt muflisoñ kī sadā se raqīb hai
kachche makān girne kā mausam 'ajīb hai
ik raushnī kā shahr añdheroñ meñ kho gayā
is sehn-e-gulsitāñ kā muqaddar ġharīb hai
larzāñ hai kyoñ sadā-e-ḳhamoshī fazāoñ meñ
kyoñ shahr meñ gharoñ pe numāyāñ salīb hai
miT jā.egī vatan se jahālat kī tīrgī
vo dekh inqalāb kā sūraj qarīb hai
jis sadma-e-firāq ne luuTā hayāt ko
vo ġham mirī jarāhat-e-dil kā tabīb hai
aañsū umaD rahe haiñ kaleja hai ḳhūñ-chakāñ
shāyad ġham-e-husain kā mausam qarīb hai
barsat muflison ki sada se raqib hai
kachche makan girne ka mausam 'ajib hai
ek raushni ka shahr andheron mein kho gaya
is sehn-e-gulsitan ka muqaddar gharib hai
larzan hai kyon sada-e-KHamoshi fazaon mein
kyon shahr mein gharon pe numayan salib hai
miT jaegi watan se jahaalat ki tirgi
wo dekh inqalab ka suraj qarib hai
jis sadma-e-firaq ne luTa hayat ko
wo gham meri jarahat-e-dil ka tabib hai
aansu umaD rahe hain kaleja hai KHun-chakan
shayad gham-e-husain ka mausam qarib hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.