barsar-e-taaruf the ehtiyat ke sae
barsar-e-ta'āruf the ehtiyāt ke saa.e
vo bhī kuchh na kah paa.e ham bhī kuchh na kah paa.e
din hasīñ bahāroñ ke yuuñ bhī ham ko yaad aa.e
qahqahoñ ke afsāne āñsuoñ ne dohrā.e
kitne hī bhayānak hoñ un se ḳhauf kyā khānā
saa.e haiñ bahar-sūrat raushnī ke hamsā.e
diid ke tamāshe bhī kam nahīñ sarāboñ se
duur ham hue utne jitne vo qarīb aa.e
kis jagah huā hai gum kuchh pata nahīñ chaltā
ham zamīr-e-insāñ ko har taraf pukār aa.e
raushnī milī lekin ye bhī aap ne dekhā
dhuup kī tamāzat se kitne phuul kumhlā.e
chhīn le koī 'kaifī' mujh se merī tanhā.ī
saañp ban ke Daste haiñ mujh ko ab mire saa.e
barsar-e-ta'aruf the ehtiyat ke sae
wo bhi kuchh na kah pae hum bhi kuchh na kah pae
din hasin bahaaron ke yun bhi hum ko yaad aae
qahqahon ke afsane aansuon ne dohrae
kitne hi bhayanak hon un se KHauf kya khana
sae hain bahar-surat raushni ke hamsae
did ke tamashe bhi kam nahin sarabon se
dur hum hue utne jitne wo qarib aae
kis jagah hua hai gum kuchh pata nahin chalta
hum zamir-e-insan ko har taraf pukar aae
raushni mili lekin ye bhi aap ne dekha
dhup ki tamazat se kitne phul kumhlae
chhin le koi 'kaifi' mujh se meri tanhai
sanp ban ke Daste hain mujh ko ab mere sae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.