barsin na mausam mein aankhen
barsīñ nā mausam meñ āñkheñ
sūkhīñ kis ke ġham meñ āñkheñ
thaah diloñ kī auj ufuq kī
nāpeñ ek qadam meñ āñkheñ
ham jab sab kuchh kho baiThe haiñ
DhūñDheñ kyā ab ham meñ āñkheñ
aksar ulajh ke dhokā khā.eñ
zulf ke pech-o-ḳham meñ āñkheñ
dil de kar hai bhaav chukāyā
beche na koī kam meñ āñkheñ
khulte-khulte khulte haiñ lab
kah deñ sab ik dam meñ āñkheñ
laakh nazāre pinhāñ un meñ
'ālam haiñ 'ālam meñ āñkheñ
barsin na mausam mein aankhen
sukhin kis ke gham mein aankhen
thah dilon ki auj ufuq ki
napen ek qadam mein aankhen
hum jab sab kuchh kho baiThe hain
DhunDhen kya ab hum mein aankhen
aksar ulajh ke dhoka khaen
zulf ke pech-o-KHam mein aankhen
dil de kar hai bhaw chukaya
beche na koi kam mein aankhen
khulte-khulte khulte hain lab
kah den sab ek dam mein aankhen
lakh nazare pinhan un mein
'alam hain 'alam mein aankhen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.