barson ka shanasa bhi shanasa nahin lagta
barsoñ kā shanāsā bhī shanāsā nahīñ lagtā
kuchh bhī dam-e-hijrāñ mujhe achchhā nahīñ lagtā
kar luuñ maiñ yaqīñ kaise ki badla nahīñ kuchh bhī
lahja hī agar aap kā lahja nahīñ lagtā
ik tere na hone se huā haal ye dil kā
bastī meñ koī shaḳhs bhī apnā nahīñ lagtā
kāġhaz se vo mānūs sī ḳhushbū nahīñ aa.ī
ye ḳhat bhī tire haath kā likkhā nahīñ lagtā
āñkhoñ meñ mirī is liye 'jāzib' ye namī hai
sūkhā huā dariyā mujhe achchhā nahīñ lagtā
barson ka shanasa bhi shanasa nahin lagta
kuchh bhi dam-e-hijran mujhe achchha nahin lagta
kar lun main yaqin kaise ki badla nahin kuchh bhi
lahja hi agar aap ka lahja nahin lagta
ek tere na hone se hua haal ye dil ka
basti mein koi shaKHs bhi apna nahin lagta
kaghaz se wo manus si KHushbu nahin aai
ye KHat bhi tere hath ka likkha nahin lagta
aankhon mein meri is liye 'jazib' ye nami hai
sukha hua dariya mujhe achchha nahin lagta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.