Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

barson ke rat-jagon ki thakan kha gai mujhe

Qaisarul Jafri

barson ke rat-jagon ki thakan kha gai mujhe

Qaisarul Jafri

MORE BYQaisarul Jafri

    barsoñ ke rat-jagoñ thakan khā ga.ī mujhe

    sūraj nikal rahā thā ki niiñd aa ga.ī mujhe

    rakkhī na zindagī ne mirī muflisī sharm

    chādar banā ke raah meñ phailā ga.ī mujhe

    maiñ bik gayā thā baad meñ be-sarfa jaan kar

    duniyā mirī dukān pe lauTā ga.ī mujhe

    dariyā pe ek tanz samajhiye ki tishnagī

    sāhil sard ret meñ dafnā ga.ī mujhe

    ai zindagī tamām lahū rā.egāñ huā

    kis dasht-e-be-savād meñ barsā ga.ī mujhe

    kāġhaz chāñd rakh diyā duniyā ne haath meñ

    pahle safar raat raas aa ga.ī mujhe

    kyā chiiz thī kisī adā-e-supurdagī

    bhīge badan aag meñ nahlā ga.ī mujhe

    'qaisar' qalam aag ehsānmand huuñ

    jab uñgliyāñ jalīñ to ġhazal aa ga.ī mujhe

    barson ke rat-jagon ki thakan kha gai mujhe

    suraj nikal raha tha ki nind aa gai mujhe

    rakkhi na zindagi ne meri muflisi ki sharm

    chadar bana ke rah mein phaila gai mujhe

    main bik gaya tha baad mein be-sarfa jaan kar

    duniya meri dukan pe lauTa gai mujhe

    dariya pe ek tanz samajhiye ki tishnagi

    sahil ki sard ret mein dafna gai mujhe

    ai zindagi tamam lahu raegan hua

    kis dasht-e-be-sawad mein barsa gai mujhe

    kaghaz ka chand rakh diya duniya ne hath mein

    pahle safar ki raat hi ras aa gai mujhe

    kya chiz thi kisi ki ada-e-supurdagi

    bhige badan ki aag mein nahla gai mujhe

    'qaisar' qalam ki aag ka ehsanmand hun

    jab ungliyan jalin to ghazal aa gai mujhe

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    barson ke rat-jagon ki thakan kha gai mujhe Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now