barson paDh kar sarkash rah kar zaKHmi ho kar samjha main
barsoñ paḌh kar sarkash rah kar zaḳhmī ho kar samjhā maiñ
har kūcha hai kūcha-e-qātil zaḳhmī ho kar sambhlā maiñ
tūfānī jazboñ se bach kar duur talak kaise jātā?
ek jazīra ban kar āḳhir lahroñ lahroñ Thahrā maiñ
kitne ādarshoñ ke shīshe rag rag meñ āzār bane
laḌte laḌte thak kar dekhā saaya thā aur tanhā maiñ
ā.īna kyā kis ko dikhātā galī galī hairat biktī thī
naqqāroñ kā shor thā har sū sachche sab aur jhūTā maiñ
'bāqar' tez shuāoñ se sab momī chehre pighal ga.e
sub.h talak pathrīle ġham the aur thā TūTā-phūTā maiñ
barson paDh kar sarkash rah kar zaKHmi ho kar samjha main
har kucha hai kucha-e-qatil zaKHmi ho kar sambhla main
tufani jazbon se bach kar dur talak kaise jata?
ek jazira ban kar aaKHir lahron lahron Thahra main
kitne aadarshon ke shishe rag rag mein aazar bane
laDte laDte thak kar dekha saya tha aur tanha main
aaina kya kis ko dikhata gali gali hairat bikti thi
naqqaron ka shor tha har su sachche sab aur jhuTa main
'baqar' tez shuaon se sab momi chehre pighal gae
subh talak pathrile gham the aur tha TuTa-phuTa main
- Book : Monthly Usloob (Pg. 524)
- Author : Mushfiq Khawaja
- Publication : Usloob 3D 9—26 Nazimabad karachi 180007 (Oct. õ Nov. 1983,Issue No. 5-6)
- Edition : Oct. õ Nov. 1983,Issue No. 5-6
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.