barson se KHayalon mein ek chhoTi kahani hai
barson se KHayalon mein ek chhoTi kahani hai
Mohammad Salahuddin Taskeen
MORE BYMohammad Salahuddin Taskeen
barsoñ se ḳhayāloñ meñ ik chhoTī kahānī hai
har baat na.ī lekin ik baat purānī hai
afsāna tabāhī kā lafzoñ meñ likhūñ kyūñkar
kuchh kahtā huuñ āñkhoñ se kuchh dil kī zabānī hai
ik ruup samāyā hai jis din se ḳhayāloñ meñ
har din hai hasīñ merā har raat suhānī hai
daulat ye milī mujh ko hālāt ke hāthoñ se
ek zaḳhm purānā hai ik dard nihānī hai
armānoñ ke mele meñ jo dard milā mujh ko
'taskīn' samajhtā huuñ ulfat kī nishānī hai
barson se KHayalon mein ek chhoTi kahani hai
har baat nai lekin ek baat purani hai
afsana tabahi ka lafzon mein likhun kyunkar
kuchh kahta hun aankhon se kuchh dil ki zabani hai
ek rup samaya hai jis din se KHayalon mein
har din hai hasin mera har raat suhani hai
daulat ye mili mujh ko haalat ke hathon se
ek zaKHm purana hai ek dard nihani hai
armanon ke mele mein jo dard mila mujh ko
'taskin' samajhta hun ulfat ki nishani hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.