barson tapish-e-gham mein ye ehsas jale hai
barsoñ tapish-e-ġham meñ ye ehsās jale hai
tab jā ke kahīñ she'r ke sāñche meñ Dhale hai
kuchh aise terī bazm meñ baiThā huuñ akelā
jis tarah sar-e-rāh koī sham.a jale hai
allāh kisī shaḳhs ko rusvā na kare yuuñ
mujh se mirā saaya bhī to ab bach ke chale hai
is manzil-e-dushvār se hañs hañs ke guzar jā
pagle kahīñ rone se shab-e-hijr Dhale hai
har roz nayā ruup badaltī hai terī yaad
aahoñ meñ Dhale hai kabhī ashkoñ meñ Dhale hai
har shahr meñ hone lagī añgusht-numā.ī
rusvā.ī mirī mujh se bhī kuchh aage chale hai
ik roz use TuuT hī jaanā thā bahar-hāl
dil toḌ ke tū kyuuñ kaf-e-afsos male hai
barson tapish-e-gham mein ye ehsas jale hai
tab ja ke kahin she'r ke sanche mein Dhale hai
kuchh aise teri bazm mein baiTha hun akela
jis tarah sar-e-rah koi shama jale hai
allah kisi shaKHs ko ruswa na kare yun
mujh se mera saya bhi to ab bach ke chale hai
is manzil-e-dushwar se hans hans ke guzar ja
pagle kahin rone se shab-e-hijr Dhale hai
har roz naya rup badalti hai teri yaad
aahon mein Dhale hai kabhi ashkon mein Dhale hai
har shahr mein hone lagi angusht-numai
ruswai meri mujh se bhi kuchh aage chale hai
ek roz use TuT hi jaana tha bahar-haal
dil toD ke tu kyun kaf-e-afsos male hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.