barson tum se baaten ki hain sadiyon naz uThaya hai
barsoñ tum se bāteñ kī haiñ sadiyoñ naaz uThāyā hai
lagtā hai ki maiñ ne tum ko janam janam se chāhā hai
dil kī dhaḌkan chaap tumhāre komal komal qadmoñ kī
ḳhushbū ḳhushbū yaad tumhārī phuul tumhārā saaya hai
rom rom meñ chandan chandan sargoshī sī mahkī thī
yā the nain tumhāre jhūTe yā merā man jhūTā hai
tere ruup meñ yā chandā kī kirneñ sej pe sotī haiñ
chāñdī kī shītal thālī meñ yā juuhī kā gajrā hai
in nazroñ ke bajroñ kā ruḳh būjheñ to kaise būjheñ
āñkheñ bhī utnī hī gahrī sāgar jitnā gahrā hai
dil yādoñ kī parchhā.īñ kā moh bhī shāyad jī na sake
sannāTe ke phaile haath meñ tanhā.ī kī rekhā hai
un kī kahānī to jamnī hai ang hañse yā nain hañseñ
ashkoñ ke afsāne ghaḌ le ye duniyā vo duniyā hai
barson tum se baaten ki hain sadiyon naz uThaya hai
lagta hai ki main ne tum ko janam janam se chaha hai
dil ki dhaDkan chap tumhaare komal komal qadmon ki
KHushbu KHushbu yaad tumhaari phul tumhaara saya hai
rom rom mein chandan chandan sargoshi si mahki thi
ya the nain tumhaare jhuTe ya mera man jhuTa hai
tere rup mein ya chanda ki kirnen sej pe soti hain
chandi ki shital thaali mein ya juhi ka gajra hai
in nazron ke bajron ka ruKH bujhen to kaise bujhen
aankhen bhi utni hi gahri sagar jitna gahra hai
dil yaadon ki parchhain ka moh bhi shayad ji na sake
sannaTe ke phaile hath mein tanhai ki rekha hai
un ki kahani to jamni hai ang hanse ya nain hansen
ashkon ke afsane ghaD le ye duniya wo duniya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.