barte kuchh imtiyaz to insan kam se kam
barte kuchh imtiyāz to insān kam se kam
ho apne dostoñ kī to pahchān kam se kam
ahl-e-ġharaz kisī ke hue haiñ jo hoñ mire
itnā to soch ai dil-e-nādān kam se kam
hogā yahī bahut se bahut jaañ se jā.eñge
rah jā.egī vafā kī magar aan kam se kam
chaliye mo.āmla ye kisī samt to huā
kam to huā ye roz kā ḳhaljān kam se kam
aisā nahīñ ki māya-e-ehsās bhī na ho
itne nahīñ haiñ be-sar-o-sāmān kam se kam
nā-mumkināt meñ se to shāyad na ho 'na.īm'
aamad bahār kī nahīñ āsān kam se kam
barte kuchh imtiyaz to insan kam se kam
ho apne doston ki to pahchan kam se kam
ahl-e-gharaz kisi ke hue hain jo hon mere
itna to soch ai dil-e-nadan kam se kam
hoga yahi bahut se bahut jaan se jaenge
rah jaegi wafa ki magar aan kam se kam
chaliye moamla ye kisi samt to hua
kam to hua ye roz ka KHaljaan kam se kam
aisa nahin ki maya-e-ehsas bhi na ho
itne nahin hain be-sar-o-saman kam se kam
na-mumkinat mein se to shayad na ho 'naim'
aamad bahaar ki nahin aasan kam se kam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.