bas aaftab ki tanwir jaisa lagta hai
bas āftāb kī tanvīr jaisā lagtā hai
kitābī chehra hai tasvīr jaisā lagtā hai
koī bhī dekhe to mab.hūt ho ke rah jaa.e
vo ruḳh to husn kī tafsīr jaisā lagtā hai
kisī bhī kaam kā vo mujh ko chhoḌtā hī nahīñ
ḳhayāl bhī tirā zanjīr jaisā lagtā hai
lakīr lambī sī kājal kī jis meñ hotī hai
vo gosha aañkh kā shamshīr jaisā lagtā hai
tumhāre kūche ke ma.alūm haiñ nasheb-o-farāz
mujhe vo apnī hī jāgīr jaisā lagtā hai
ajab kashish hai tire shahr meñ mujhe jānāñ
koī bhī rut ho vo kashmīr jaisā lagtā hai
vo chehra aisā hai āñkheñ Thahar hī jaatī haiñ
ki ik hasīn sī tahrīr jaisā lagtā hai
shab-e-firāq shab-e-vasl meñ badal jaanā
vo mere ḳhvāb kī ta.abīr jaisā lagtā hai
nigāh uThte hī dīdār terā ho jaanā
mirī duāoñ kī tāsīr jaisā lagtā hai
tirā ḳhayāl hī marham hai saare zaḳhmoñ kā
koī bhī zaḳhm ho iksīr jaisā lagtā hai
koī nishāñ hai na manzil kā hai pata 'anvar'
ye rāsta bhī to taqdīr jaisā lagtā hai
bas aaftab ki tanwir jaisa lagta hai
kitabi chehra hai taswir jaisa lagta hai
koi bhi dekhe to mabhut ho ke rah jae
wo ruKH to husn ki tafsir jaisa lagta hai
kisi bhi kaam ka wo mujh ko chhoDta hi nahin
KHayal bhi tera zanjir jaisa lagta hai
lakir lambi si kajal ki jis mein hoti hai
wo gosha aankh ka shamshir jaisa lagta hai
tumhaare kuche ke malum hain nasheb-o-faraaz
mujhe wo apni hi jagir jaisa lagta hai
ajab kashish hai tere shahr mein mujhe jaanan
koi bhi rut ho wo kashmir jaisa lagta hai
wo chehra aisa hai aankhen Thahar hi jati hain
ki ek hasin si tahrir jaisa lagta hai
shab-e-firaq shab-e-wasl mein badal jaana
wo mere KHwab ki tabir jaisa lagta hai
nigah uThte hi didar tera ho jaana
meri duaon ki tasir jaisa lagta hai
tera KHayal hi marham hai sare zaKHmon ka
koi bhi zaKHm ho iksir jaisa lagta hai
koi nishan hai na manzil ka hai pata 'anwar'
ye rasta bhi to taqdir jaisa lagta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.