bas ab humse dil-e-shorida-sar dekha nahin jata
bas ab humse dil-e-shorida-sar dekha nahin jata
Qaisar Haideri Dehlvi
MORE BYQaisar Haideri Dehlvi
bas ab ham se dil-e-shorīda-sar dekhā nahīñ jaatā
ye taḌpānā taḌapnā raat bhar dekhā nahīñ jaatā
hameñ tarkīb hī nazāra-e-ruḳh kī nahīñ aatī
ki vo haiñ dekhne kī shai magar dekhā nahīñ jaatā
ḳhudā jur.at na de mujh ko kisī din lab-kushā.ī kī
ki mujh se nāla-e-mahrūm-asar dekhā nahīñ jaatā
ḳhudā ne sharm rakh lī zauq-e-nazāra kī mahfil meñ
na jaane kyā sitam hotā agar dekhā nahīñ jaatā
kisī goshe meñ dil ke DhūñD us ke husn-e-yakjā ko
vo sham.a-e-shauq le kar dar-ba-dar dekhā nahīñ jaatā
baḌī muddat se paidā kar rahā huuñ shauq-e-nazzāra
ba-itmīnān-e-dil ab bhī udhar dekhā nahīñ jaatā
nahīñ mālūm 'qaisar' ishq hī itnā burā kyoñ hai
merī samt un se jab ki ik nazar dekhā nahīñ jaatā
bas ab hum se dil-e-shorida-sar dekha nahin jata
ye taDpana taDapna raat bhar dekha nahin jata
hamein tarkib hi nazara-e-ruKH ki nahin aati
ki wo hain dekhne ki shai magar dekha nahin jata
KHuda jurat na de mujh ko kisi din lab-kushai ki
ki mujh se nala-e-mahrum-asar dekha nahin jata
KHuda ne sharm rakh li zauq-e-nazara ki mahfil mein
na jaane kya sitam hota agar dekha nahin jata
kisi goshe mein dil ke DhunD us ke husn-e-yakja ko
wo shama-e-shauq le kar dar-ba-dar dekha nahin jata
baDi muddat se paida kar raha hun shauq-e-nazzara
ba-itminan-e-dil ab bhi udhar dekha nahin jata
nahin malum 'qaisar' ishq hi itna bura kyon hai
meri samt un se jab ki ek nazar dekha nahin jata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.