bas ab to ji mein yahi hai ki mar ke dekhte hain
bas ab to jī meñ yahī hai ki mar ke dekhte haiñ
kisī se ham bhī 'sanā' ishq kar ke dekhte haiñ
tirī hī diid kī pyāsī nahīñ hai ḳhalq-e-ḳhudā
mujhe bhī log tirī rahguzar ke dekhte haiñ
musāfiroñ ke muqaddar meñ ek shab hai bahut
vo mere saath sitāre sahar ke dekhte haiñ
kisī ko shahr meñ tere kahāñ hai fursat-e-dīd
ham aaj bhī tujhe aksar Thahar ke dekhte haiñ
tum apne ruup kā darpan hameñ bhī dikhlānā
tumhāre saath hī ham bhī sañvar ke dekhte haiñ
mah-o-nujūm-o-surayyā ko dekhnā hai fuzūl
tumhārī maañg meñ siñdūr bhar ke dekhte haiñ
uThā nashist se apnī to lams chhoḌ gayā
so vaañ nuqūsh bahisht-e-nazar ke dekhte haiñ
hue tulūa shabistāñ meñ us ke kyā kyā chāñd
sitāre band-e-qabā ke utar ke dekhte haiñ
ufuq ke paar sajā.ī ga.ī hai ḳhalvat-e-nāz
mah-o-nujūm pe ham paañv dhar ke dekhte haiñ
vo rafta rafta 'sanā' intizār karne lage
so aaj ham bhī zarā der kar ke dekhte haiñ
bas ab to ji mein yahi hai ki mar ke dekhte hain
kisi se hum bhi 'sana' ishq kar ke dekhte hain
teri hi did ki pyasi nahin hai KHalq-e-KHuda
mujhe bhi log teri rahguzar ke dekhte hain
musafiron ke muqaddar mein ek shab hai bahut
wo mere sath sitare sahar ke dekhte hain
kisi ko shahr mein tere kahan hai fursat-e-did
hum aaj bhi tujhe aksar Thahar ke dekhte hain
tum apne rup ka darpan hamein bhi dikhlana
tumhaare sath hi hum bhi sanwar ke dekhte hain
mah-o-nujum-o-surayya ko dekhna hai fuzul
tumhaari mang mein sindur bhar ke dekhte hain
uTha nashist se apni to lams chhoD gaya
so wan nuqush bahisht-e-nazar ke dekhte hain
hue tulua shabistan mein us ke kya kya chand
sitare band-e-qaba ke utar ke dekhte hain
ufuq ke par sajai gai hai KHalwat-e-naz
mah-o-nujum pe hum panw dhar ke dekhte hain
wo rafta rafta 'sana' intizar karne lage
so aaj hum bhi zara der kar ke dekhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.