bas dekh raha hun mera paimana kahan hai
bas dekh rahā huuñ mirā paimāna kahāñ hai
allāh mirī jur.at-e-rindāna kahāñ hai
paḌ jaa.eñ na us par ġham-e-duniyā kī nigāheñ
ai bhūlne vaale mirā afsāna kahāñ hai
ab mujh ko dikhā.e na ḳhudā hosh kā aalam
vo pūchh rahe haiñ mirā dīvāna kahāñ hai
mujh rind-e-alastī ko kahāñ hosh ki dekhūñ
ka.aba hai kidhar aur sanam-ḳhāna kahāñ hai
saaqī tirī mahfil se nahīñ jā.eñge kyā ye
lā barhaman-o-shaiḳh kā nazrāna kahāñ hai
ye to haram-o-dair haiñ chaltī hai jahāñ teġh
chalte haiñ jahāñ jaam vo mai-ḳhāna kahāñ hai
tum 'shauq' bajā kahte ho lekin ye batāo
duniyā meñ sab apne haiñ to begāna kahāñ hai
bas dekh raha hun mera paimana kahan hai
allah meri jurat-e-rindana kahan hai
paD jaen na us par gham-e-duniya ki nigahen
ai bhulne wale mera afsana kahan hai
ab mujh ko dikhae na KHuda hosh ka aalam
wo puchh rahe hain mera diwana kahan hai
mujh rind-e-alasti ko kahan hosh ki dekhun
kaba hai kidhar aur sanam-KHana kahan hai
saqi teri mahfil se nahin jaenge kya ye
la barhaman-o-shaiKH ka nazrana kahan hai
ye to haram-o-dair hain chalti hai jahan tegh
chalte hain jahan jam wo mai-KHana kahan hai
tum 'shauq' baja kahte ho lekin ye batao
duniya mein sab apne hain to begana kahan hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.