bas ek bar faqat ek bar kam se kam
bas ek baar faqat ek baar kam se kam
sivā mirā ho tirā iḳhtiyār kam se kam
har ek rañg tujhe Dhāñp dūñgā sar-tā-pā
tirī har ek kā badla hazār kam se kam
na saath saath sahī itnī duur bhī to na jā
ujaaḌ mat mire qurb-o-javār kam se kam
hai ittifāq ki insān nikle donoñ hī
huzūr-e-vālā bahut ḳhāksār kam se kam
yuuñ apnī saakh bachā.ī kiyā use uryāñ
ki apnā sheva nahīñ tū-takār kam se kam
sabhī haiñ raam bharose ḳhudā kī bastī meñ
koī to ḳhud pe kare inhisār kam se kam
shikast par koī nauha na fat.h par na.ara
na zindagī se ho utnā farār kam se kam
bas ek bar faqat ek bar kam se kam
siwa mera ho tera iKHtiyar kam se kam
har ek rang tujhe Dhanp dunga sar-ta-pa
teri har ek ka badla hazar kam se kam
na sath sath sahi itni dur bhi to na ja
ujaD mat mere qurb-o-jawar kam se kam
hai ittifaq ki insan nikle donon hi
huzur-e-wala bahut KHaksar kam se kam
yun apni sakh bachai kiya use uryan
ki apna shewa nahin tu-takar kam se kam
sabhi hain ram bharose KHuda ki basti mein
koi to KHud pe kare inhisar kam se kam
shikast par koi nauha na fath par nara
na zindagi se ho utna farar kam se kam
- Book : Par Khule Toe (Pg. 15)
- Author : Shamim Abbas
- Publication : Qalam Publications (2013)
- Edition : 2013
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.