bas ek bar kah de wo achchha qubul hai
bas ek baar kah de vo achchhā qubūl hai
phir is ke baa'd mujh ko to marnā qubūl hai
aise to mujh ko aag se lagtā bahut hai Dar
us ke badan ko chuum ke jalnā qubūl hai
kar lo ḳhudā kā shukriya tum ko milā hai vo
mujh ko to us ke naam kā phandā qubūl hai
rūThe magar vo kah bhī de rūThā hai mujh se kyoñ
phir is ke baa'd us kā jhagaḌnā qubūl hai
aisī nahīñ hai shart kī mil jaa.e puurā vo
jitnā bhī mil vo jā.egā utnā qubūl hai
Thukrā diyā hai hañs ke haañ dariyā ko maiñ ne to
us ke laboñ se mujh ko to qatra qubūl hai
'āmir' tumhāre vāste rotā hai kaun ab
kis ko tumhāre jism kā kandhā qubūl hai
bas ek bar kah de wo achchha qubul hai
phir is ke ba'd mujh ko to marna qubul hai
aise to mujh ko aag se lagta bahut hai Dar
us ke badan ko chum ke jalna qubul hai
kar lo KHuda ka shukriya tum ko mila hai wo
mujh ko to us ke nam ka phanda qubul hai
ruThe magar wo kah bhi de ruTha hai mujh se kyon
phir is ke ba'd us ka jhagaDna qubul hai
aisi nahin hai shart ki mil jae pura wo
jitna bhi mil wo jaega utna qubul hai
Thukra diya hai hans ke han dariya ko main ne to
us ke labon se mujh ko to qatra qubul hai
'amir' tumhaare waste rota hai kaun ab
kis ko tumhaare jism ka kandha qubul hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.