bas ek bar tera aks jhilmilaya tha
bas ek baar tirā aks jhilmilāyā thā
phir us ke ba.ad mirā jism thā na saaya thā
shadīd niiñd kā ġhalba thā kuchh pata na chalā
ki itnī raat ga.e kaun milne aayā thā
ḳhayāl aate hī ik Tiis sī ubhartī hai
malāl aaj bhī hai terā dil dukhāyā thā
mujhe pata thā darīche se raat jhāñkegī
isī ḳhayāl se maiñ chāñd le ke aayā thā
badal ga.e the manāzir palak jhapakte hī
mirā junūn bas ik baar rañg laayā thā
tum aa ga.e ho to lagtā hai aaj se pahle
mirī hayāt pe ik bad-duā kā saaya thā
bas ek bar tera aks jhilmilaya tha
phir us ke baad mera jism tha na saya tha
shadid nind ka ghalba tha kuchh pata na chala
ki itni raat gae kaun milne aaya tha
KHayal aate hi ek Tis si ubharti hai
malal aaj bhi hai tera dil dukhaya tha
mujhe pata tha dariche se raat jhankegi
isi KHayal se main chand le ke aaya tha
badal gae the manazir palak jhapakte hi
mera junun bas ek bar rang laya tha
tum aa gae ho to lagta hai aaj se pahle
meri hayat pe ek bad-dua ka saya tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.