bas ek baat yahi sochta hun dilli mein
bas ek baat yahī sochtā huuñ dillī meñ
kyoñ gaañv chhoḌ ke maiñ aa basā huuñ dillī meñ
pata karo ki kahāñ par bhaTak rahā hai vo
use kaho maiñ use DhūñDhtā huuñ dillī meñ
har ek shaḳhs yahāñ ajnabī sā lagtā hai
ki bhiiḌ meñ bhī maiñ tanhā khaḌā huuñ dillī meñ
tumhāre saath kī vo sair yaad aatī hai
maiñ tanhā jab bhī kabhī ghūmtā huuñ dillī meñ
jo pūchhte ho mirā kaam to suno tum bhī
maiñ dard-o-ġham kī davā bechtā huuñ dillī meñ
yahāñ kī āb-o-havā meñ mujhī ko pāoge
maiñ har taraf yahāñ bikhrā paḌā huuñ dillī meñ
bas ek baat yahi sochta hun dilli mein
kyon ganw chhoD ke main aa basa hun dilli mein
pata karo ki kahan par bhaTak raha hai wo
use kaho main use DhunDhta hun dilli mein
har ek shaKHs yahan ajnabi sa lagta hai
ki bhiD mein bhi main tanha khaDa hun dilli mein
tumhaare sath ki wo sair yaad aati hai
main tanha jab bhi kabhi ghumta hun dilli mein
jo puchhte ho mera kaam to suno tum bhi
main dard-o-gham ki dawa bechta hun dilli mein
yahan ki aab-o-hawa mein mujhi ko paoge
main har taraf yahan bikhra paDa hun dilli mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.