bas ek bhul ki bharpaiyon se laDta raha
bas ek bhuul kī bharpā.iyoñ se laḌtā rahā
tamām umr maiñ rusvā.iyoñ se laḌtā rahā
tamām umr ujāloñ ke misl merā uruuj
mire zavāl kī gahrā.iyoñ se laḌtā rahā
mire vajūd pe ġhālib thā raat ek badan
tamām raat maiñ añgḌā.iyoñ se laḌtā rahā
hisār-e-shab meñ vo tanhā kisī mujāhid sā
koī badan thā jo parchhā.iyoñ se laḌtā rahā
hasīn yādoñ kī ik anjuman sajātā rahā
maiñ tere ba.ad yuuñ tanhā.iyoñ se laḌtā rahā
bas ek bhul ki bharpaiyon se laDta raha
tamam umr main ruswaiyon se laDta raha
tamam umr ujalon ke misl mera uruj
mere zawal ki gahraiyon se laDta raha
mere wajud pe ghaalib tha raat ek badan
tamam raat main angDaiyon se laDta raha
hisar-e-shab mein wo tanha kisi mujahid sa
koi badan tha jo parchhaiyon se laDta raha
hasin yaadon ki ek anjuman sajata raha
main tere baad yun tanhaiyon se laDta raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.