bas ek bund thi auraq-e-jaan mein phail gai
bas ek buuñd thī aurāq-e-jāñ meñ phail ga.ī
zarā sī baat mirī dāstāñ meñ phail ga.ī
havā ne haath baḌhāyā hī thā ki lau merī
tamām shash-jihat-e-jism o jaañ meñ phail ga.ī
vo ḳhvāb thā ki khulā thā darīcha-e-shab-e-hijr
tire visāl kī ḳhushbū makāñ meñ phail ga.ī
jo us ke baad havā us se be-ḳhabar the sab
havā ne kuchh na kahā bādbāñ meñ phail ga.ī
khulā ki vahm thā āb-o-sarāb kī tamīz
pyāsī dhuup thī āb-e-ravāñ meñ phail ga.ī
maiñ us ke tarz-e-taḳhātub kā zahr pī to gayā
magar ajiib sī talḳhī zabāñ meñ phail ga.ī
ziyāñ-nasīb shi.ār-e-vafā sarisht meñ hai
ye baat kaise saf-e-dushmanāñ meñ phail ga.ī
bas ek bund thi auraq-e-jaan mein phail gai
zara si baat meri dastan mein phail gai
hawa ne hath baDhaya hi tha ki lau meri
tamam shash-jihat-e-jism o jaan mein phail gai
wo KHwab tha ki khula tha daricha-e-shab-e-hijr
tere visal ki KHushbu makan mein phail gai
jo us ke baad hawa us se be-KHabar the sab
hawa ne kuchh na kaha baadban mein phail gai
khula ki wahm tha aab-o-sarab ki tamiz
pyasi dhup thi aab-e-rawan mein phail gai
main us ke tarz-e-taKHatub ka zahr pi to gaya
magar ajib si talKHi zaban mein phail gai
ziyan-nasib shiar-e-wafa sarisht mein hai
ye baat kaise saf-e-dushmanan mein phail gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.