bas ek hi to baat samundar ki KHas hai
bas ek hī to baat samundar kī ḳhaas hai
paanī hī us kā jism hai paanī libās hai
dariyāo tum ko jiinā hai dariyā-dilī ke saath
dhartī mirī udaas hai shiddat kī pyaas hai
ham ahl-e-dard ke hī to hisse meñ aa.ī hai
ḳhushbū suḳhan kī jo ki mere ās-pās hai
maiñ kab se DhūñDhtā huuñ muqaddar kā vo sirā
jis se bañdhī huī mirī ḳhvāhish hai aas hai
'bāsit' tumhārī ziist kā sāmān ho gayā
ik shaḳhs bin tumhāre bahut hī udaas hai
bas ek hi to baat samundar ki KHas hai
pani hi us ka jism hai pani libas hai
dariyao tum ko jina hai dariya-dili ke sath
dharti meri udas hai shiddat ki pyas hai
hum ahl-e-dard ke hi to hisse mein aai hai
KHushbu suKHan ki jo ki mere aas-pas hai
main kab se DhunDhta hun muqaddar ka wo sira
jis se bandhi hui meri KHwahish hai aas hai
'basit' tumhaari zist ka saman ho gaya
ek shaKHs bin tumhaare bahut hi udas hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.