bas ek ishq wali kahani nikal kar
bas ek ishq vaalī kahānī nikāl kar
bachtā hī kyā hai yaar javānī nikāl kar
vo bad-nasīb log baḌe bad-nasīb log
pyāse rahe zamīn se paanī nikāl kar
baiThe hue haiñ sub.h se afsos meñ yūñhī
tasvīr koī apnī purānī nikāl kar
ab log likh rahe haiñ mohabbat kī dāstān
malbe se mere us kī nishānī nikāl kar
ik bādshāh-e-vaqt ko ham ne shikast dī
bas us kī dāstān se raanī nikāl kar
'irfān' lag rahā hai ye Thahrāv meñ magar
Thahrā kabhī hai dariyā ravānī nikāl kar
bas ek ishq wali kahani nikal kar
bachta hi kya hai yar jawani nikal kar
wo bad-nasib log baDe bad-nasib log
pyase rahe zamin se pani nikal kar
baiThe hue hain subh se afsos mein yunhi
taswir koi apni purani nikal kar
ab log likh rahe hain mohabbat ki dastan
malbe se mere us ki nishani nikal kar
ek baadshah-e-waqt ko hum ne shikast di
bas us ki dastan se rani nikal kar
'irfan' lag raha hai ye Thahraw mein magar
Thahra kabhi hai dariya rawani nikal kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.