bas ek naqsh-e-KHayali sa rahguzar mein tha
bas ek naqsh-e-ḳhayālī sā rahguzār meñ thā
na qāfile meñ thā shāmil na maiñ ġhubār meñ thā
the sabt aañkh kī putlī pe ḳhvāb ke manzar
nasha to TuuT chukā thā magar ḳhumār meñ thā
na jaane kaun se mausam meñ phuul khilte haiñ
yahī savāl ḳhizāñ meñ yahī bahār meñ thā
tamām umr dukāneñ sajā.e baiThe rahe
zabāñ agarche tamanna ke kārobār meñ thā
na jaane kaun sī majbūriyoñ kā ḳhauf rahā
kiyā na vo bhī hamāre jo iḳhtiyār meñ thā
havā ne raakh uḌaa.ī to phir bhaḌak uTThā
chhupā huā koī sho.ala mire sharār meñ thā
khiñchī huī thī mire gird vāhimoñ kī fasīl
maiñ qaid apne banā.e hue hisār meñ thā
bas ek naqsh-e-KHayali sa rahguzar mein tha
na qafile mein tha shamil na main ghubar mein tha
the sabt aankh ki putli pe KHwab ke manzar
nasha to TuT chuka tha magar KHumar mein tha
na jaane kaun se mausam mein phul khilte hain
yahi sawal KHizan mein yahi bahaar mein tha
tamam umr dukanen sajae baiThe rahe
zaban agarche tamanna ke karobar mein tha
na jaane kaun si majburiyon ka KHauf raha
kiya na wo bhi hamare jo iKHtiyar mein tha
hawa ne rakh uDai to phir bhaDak uTTha
chhupa hua koi shoala mere sharar mein tha
khinchi hui thi mere gird wahimon ki fasil
main qaid apne banae hue hisar mein tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.