bas ek nazar chashm-e-ahu-e-KHutan walo
bas ek nazar chashm-e-āhū-e-ḳhutan vaalo
huuñ ġhuncha-e-pazhmurda shādāb chaman vaalo
haqdār-e-zakāt-e-husn arbāb-e-mohabbat haiñ
sone sī jabīñ vāloñ chāñdī se badan vaalo
ai kaash kahānī hī sun lo ġham-e-ulfat kī
shaffāf jabīnoñ par be-vaj.h shikan vaalo
haiñ dil meñ nihāñ kitne ḳhurshīd-numā chehre
maġhrūr na ho itnā sūraj kī kiran vaalo
har dāġh-e-jigar chamkā jab raat Dhalī apnī
tum yaad bahut aa.e ġhurbat meñ vatan vaalo
me.ār-e-suḳhan parkho ārā.ish-e-fan dekho
gaao ye ġhazal merī ai paak dahan vaalo
bātin bhī jo dikhlā de zāhir kī tarah ai barq
ā.īna koī aisā mumkin ho to banvā lo
bas ek nazar chashm-e-ahu-e-KHutan walo
hun ghuncha-e-pazhmurda shadab chaman walo
haqdar-e-zakat-e-husn arbab-e-mohabbat hain
sone si jabin walon chandi se badan walo
ai kash kahani hi sun lo gham-e-ulfat ki
shaffaf jabinon par be-wajh shikan walo
hain dil mein nihan kitne KHurshid-numa chehre
maghrur na ho itna suraj ki kiran walo
har dagh-e-jigar chamka jab raat Dhali apni
tum yaad bahut aae ghurbat mein watan walo
mear-e-suKHan parkho aaraish-e-fan dekho
gao ye ghazal meri ai pak dahan walo
baatin bhi jo dikhla de zahir ki tarah ai barq
aaina koi aisa mumkin ho to banwa lo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.