bas ek sikke se dharti KHarid sakta hun
bas ek sikke se dhartī ḳharīd saktā huuñ
maiñ apne ḳhvāb meñ kuchh bhī ḳharīd saktā huuñ
mujhe tire liye ḳhushiyāñ ḳharīdnī haiñ dost
so kyā maiñ terī udāsī ḳharīd saktā huuñ
koī aziiz mirā pyāsā marne vaalā hai
maiñ ḳhuun bech ke paanī ḳharīd saktā huuñ
kisī kī bhuuk miTā kar bhī bhuuk miTtī hai
maiñ roTī bech ke roTī ḳharīd saktā huuñ
mirī samajh ko samajhnā samajh se bāhar hai
jo maiñ ne bechā hai maiñ hī ḳharīd saktā huuñ
bas ek sikke se dharti KHarid sakta hun
main apne KHwab mein kuchh bhi KHarid sakta hun
mujhe tere liye KHushiyan KHaridni hain dost
so kya main teri udasi KHarid sakta hun
koi aziz mera pyasa marne wala hai
main KHun bech ke pani KHarid sakta hun
kisi ki bhuk miTa kar bhi bhuk miTti hai
main roTi bech ke roTi KHarid sakta hun
meri samajh ko samajhna samajh se bahar hai
jo main ne becha hai main hi KHarid sakta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.