bas ek tere KHwab se inkar nahin hai
bas ek tire ḳhvāb se inkār nahīñ hai
dil varna kisī shai kā talabgār nahīñ hai
āñkhoñ meñ hasīñ ḳhvāb to haiñ aaj bhī lekin
ta.abīr se ab koī sarokār nahīñ hai
lahroñ se abhī tak hai vahī rabt hamārā
kashtī meñ hamārī koī patvār nahīñ hai
kyā sehr huā koī mire shahr pe ab ke
dīvār to hai sāya-e-dīvār nahīñ hai
bas ek tere KHwab se inkar nahin hai
dil warna kisi shai ka talabgar nahin hai
aankhon mein hasin KHwab to hain aaj bhi lekin
tabir se ab koi sarokar nahin hai
lahron se abhi tak hai wahi rabt hamara
kashti mein hamari koi patwar nahin hai
kya sehr hua koi mere shahr pe ab ke
diwar to hai saya-e-diwar nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.