bas farq is qadar hai gunah o sawab mein
bas farq is qadar hai gunāh o savāb meñ
piirī meñ vo ravā hai ye jaa.ez shabāb meñ
tāsīr-e-jazb-e-shauq kā ye sehr dekhiye
ḳhud aa ga.e haiñ vo mire ḳhat ke javāb meñ
āḳhir taḌap taḌap ke ye ḳhāmosh ho gayā
dil ko sukūn mil hī gayā iztirāb meñ
āñhkeñ milā ke yā to ināyat ho ek jaam
yā zahr hī milā do hamārī sharāb meñ
ruḳh āftāb hoñT kañval chaal hashr-ḳhez
kis shai kī ab kamī hai tumhāre shabāb meñ
duniyā meñ DhūñDhte rahe ham rāhateñ abas
duniyā kī rāhateñ to haiñ tere itaab meñ
'sāhir' ajiib shai hai mohabbat kā dard bhī
dil mubtalā hai ek musalsal azaab meñ
bas farq is qadar hai gunah o sawab mein
piri mein wo rawa hai ye jaez shabab mein
tasir-e-jazb-e-shauq ka ye sehr dekhiye
KHud aa gae hain wo mere KHat ke jawab mein
aaKHir taDap taDap ke ye KHamosh ho gaya
dil ko sukun mil hi gaya iztirab mein
aanhken mila ke ya to inayat ho ek jam
ya zahr hi mila do hamari sharab mein
ruKH aaftab honT kanwal chaal hashr-KHez
kis shai ki ab kami hai tumhaare shabab mein
duniya mein DhunDhte rahe hum rahaten abas
duniya ki rahaten to hain tere itab mein
'sahir' ajib shai hai mohabbat ka dard bhi
dil mubtala hai ek musalsal azab mein
- Book : Sehr e Naghma (Pg. 65)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.