bas gaya hai wo chand par ja kar
bas gayā hai vo chāñd par jā kar
aao milte haiñ us ke ghar jā kar
ruḳh badal kar qarīb se guzrā
baat kī us ne dūr-tar jā kar
vahī māhaul hai vahī kohrām
ham ne dekhā nagar nagar jā kar
tum ko jaane to duuñ savāl ye hai
aa.e vāpas na tum agar jā kar
vahī chehra thā shāhkār-e-azal
bas vahīñ ruk ga.ī nazar jā kar
āsmāñ hai hamāre paaoñ tale
kyoñ zamīñ se lage na sar jā kar
apne āñgan ko kah rahe ho ujaaḌ
dekh aa.e ho kis kā ghar jā kar
bas gaya hai wo chand par ja kar
aao milte hain us ke ghar ja kar
ruKH badal kar qarib se guzra
baat ki us ne dur-tar ja kar
wahi mahaul hai wahi kohram
hum ne dekha nagar nagar ja kar
tum ko jaane to dun sawal ye hai
aae wapas na tum agar ja kar
wahi chehra tha shahkar-e-azal
bas wahin ruk gai nazar ja kar
aasman hai hamare paon tale
kyon zamin se lage na sar ja kar
apne aangan ko kah rahe ho ujaD
dekh aae ho kis ka ghar ja kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.