bas ek dhoka rah jata hai
bas ik dhokā rah jaatā hai
banda tanhā rah jaatā hai
dekhe dekhe manzar meñ bhī
kuchh an-dekhā rah jaatā hai
niiñd mukammal karte karte
ḳhvāb adhūrā rah jaatā hai
shaam Dhale us peḌ pe tanhā
ek parinda rah jaatā hai
peḌ agar kaT bhī jaa.e to
peḌ kā saayā rah jaatā hai
ik lamhe kī tah meñ rakkhā
ek zamāna rah jaatā hai
tum to kyā kyā gañvā dete ho
ham se kyā kyā rah jaatā hai
hijrat karne vāloñ dekho
pīchhe malba rah jaatā hai
log to paar utar jaate haiñ
dariyā dekhtā rah jaatā hai
bādal dekh ke chal dete haiñ
sahrā pyāsā rah jaatā hai
āḳhirī bas kā ek musāfir
shab-bhar baiThā rah jaatā hai
kab paḌtā hai us kā paañv
rasta dekhtā rah jaatā hai
baat kuchh aur nikal aatī hai
sab kuchh sochā rah jaatā hai
'jānāñ' ik tasvīr na ho to
kamra suunā rah jaatā hai
bas ek dhoka rah jata hai
banda tanha rah jata hai
dekhe dekhe manzar mein bhi
kuchh an-dekha rah jata hai
nind mukammal karte karte
KHwab adhura rah jata hai
sham Dhale us peD pe tanha
ek parinda rah jata hai
peD agar kaT bhi jae to
peD ka saya rah jata hai
ek lamhe ki tah mein rakkha
ek zamana rah jata hai
tum to kya kya ganwa dete ho
hum se kya kya rah jata hai
hijrat karne walon dekho
pichhe malba rah jata hai
log to par utar jate hain
dariya dekhta rah jata hai
baadal dekh ke chal dete hain
sahra pyasa rah jata hai
aaKHiri bas ka ek musafir
shab-bhar baiTha rah jata hai
kab paDta hai us ka panw
rasta dekhta rah jata hai
baat kuchh aur nikal aati hai
sab kuchh socha rah jata hai
'jaanan' ek taswir na ho to
kamra suna rah jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.