bas ek kirdar ban kar zindagi humne guzari hai
bas ek kirdar ban kar zindagi humne guzari hai
Ameeta Parsuram Meeta
MORE BYAmeeta Parsuram Meeta
bas ik kirdār ban kar zindagī ham ne guzārī hai
hamārī hī kahānī meñ kahāñ marzī hamārī hai
ḳhudā jaane hai bholā-pan ki us kī inkisārī hai
vo kahtā hai kī ab dil toḌne kī us kī baarī hai
satā.ish kī tamannā ne kiyā muhtāj duniyā par
ki daulat hai magar phir bhī vo jaise ik bhikārī hai
mirī duniyā hai ḳhvāboñ kī mohabbat kī 'ibādat kī
ki in bātoñ se tum ko kyā alag duniyā tumhārī hai
vo mere to nahīñ lekin yaqīnan maiñ unhīñ kī huuñ
so baazī 'ishq kī maiñ ne na jiitī hai na haarī hai
tamāshā dekhnā ġham ko baḌhānā phir chale jaanā
ye kaisī dostī hai aur kaisī ġham-gusārī hai
‘ayādat kā dikhāvā ḳhuub hai lekin yahī sach hai
mire jiine na marne meñ kahīñ shirkat tumhārī hai
bas ek kirdar ban kar zindagi hum ne guzari hai
hamari hi kahani mein kahan marzi hamari hai
KHuda jaane hai bhola-pan ki us ki inkisari hai
wo kahta hai ki ab dil toDne ki us ki bari hai
sataish ki tamanna ne kiya muhtaj duniya par
ki daulat hai magar phir bhi wo jaise ek bhikari hai
meri duniya hai KHwabon ki mohabbat ki 'ibaadat ki
ki in baaton se tum ko kya alag duniya tumhaari hai
wo mere to nahin lekin yaqinan main unhin ki hun
so bazi 'ishq ki main ne na jiti hai na haari hai
tamasha dekhna gham ko baDhana phir chale jaana
ye kaisi dosti hai aur kaisi gham-gusari hai
‘ayaadat ka dikhawa KHub hai lekin yahi sach hai
mere jine na marne mein kahin shirkat tumhaari hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.